Sunday, June 29, 2008

Ancient history

1 Saindhav sabhyata mei prapt paripakva avastha vale sthalo mei keval 6 ko hi nagar ki sangya di jati hai, yei hai: HADDAPPA, MOHAN JODRO, CHAHUNDRO, LOTHAL, KALIBANGA and BANVALI.
2 Brihatsnanagar kei uttar tatha dakshin ki or sidhiyo ka nirman kiya gaya tha. Sarvpratham JON MARSHAL ne snanagar ki khoj ki.
3 Svatantrata ke paschat HADDAPPA SABHAYTA ke sarvadhik sthal GUJRAT mei khoje gaye hai.
4 SANDHAV SABHAYTA ke antargat keval KALIBANGA se hi nakkasidar eto ke prayukt hone ke praman hai.
5 MOHAN JODRO se prapt annagar sambhavtah SANDHAV SABHAYTA ki sabse badi emarat thi.
6 sarvapratham HADDAPPA SABHAYTA se hi SWASTIK chihna ke avashesh mile hai. Ish chihna se SURYOPASNA ka anuman lagaya ja sakta hai.
7 GUJRAT mei sthit RANGPUR aur ROJRI SANDHAV SABHYTA ki uttrotar ki avastha ka netritva karte hai.
8 BANVALI and KALIBAGA me sandhav culture ki do avastha-HADDAPPA purva avam HADDAPPAKALIN CULTURE ke avashesh milte hai.
9 sandhav sabhayta me prayukt eto ka anupat 4:2:1 (lambai:choddai:uchai).
10 pahli bar KAPAS upjane ka sreya HADDAPPAVASHIYO ko hai.
11 MOHAN JODRO se ghore ke dant, lothal se ghore ki laghu mrinmurtiya avam surkotda se ghore ki asthiyo ke avshesh mile hai.
12 jute huye khet ka pratham sakshya PRAK SANDHAV kalin purasthal KALIBANGA se mila hai.
13 chaval ke pratham sakshya LOTHAL se mile hai.
14 sandhav muharo me ek sringi saddh ke utkirna chitra sarvadhik mile hai.
15 HADDAPPA kalin purasthalo me KALIBAGA avam LOTHAL se havan kund ke sakshaya mile hai.
16 MELUHA Sindhu kshetra ka hi prachin nam tha.
17 kuch navin HADDAPPA kalin purasthal hai: kharchi, Kharchi, Kuntasi avam Dhaulvira.
18 sindhuvasi BAIL ko sakti ka pratik mante the. PASUPATI MAHADEV ki puja kiya karte the.
19 Rigved me haddappa sabhayta ko HARIYUPIYA kaha gaya.
20 Rigved me raja ko GOP JANASYA (praja ka rakshak) avam PURABHETA (nagro par vijay prapt karne vala) kaha gaya.
21 Rigved me balihrit (bali dene vala) shabd ka prayog raja ke prati nishtha pradarshan ke liye kiya gaya hai.
22 Upasti avam Evya raja ke vyaktigat karmchari hote the.
23 Rigved kal ki sarvadhik mahatvapurna nadi SINDHU thi.
24 Rigved kal ki sarvadhik pavitra nadi SARSWATI thi.
25 Rigved kal ke sarvadhik mahatvapurna devata Indra the.
26 Rigved ke PURUSHUKT me sarvapratham shudra shabd ka ullekh milta hai

No comments: